Thursday, October 30, 2008


hi chhotu aur meri dono gudiya dekho maa kitni mahaan hoti hai use kabhi bhi zindagi me koi ghum mat dena aur ho sake utni khushi dena bas yahi kahena hai love u
dosto kahete hai ki maa jaisi mamta sansar me duji nahi hai aur usi maa ke bare me kuch aapke saath share karna chahta hu ummid hai aap sab ko pasand aayega

nahi jag me maa jaisa duja ye baat bhulao na

mamta mahima ka jeevan me dil kabhi dukhao na

bachho ke liye maa ne kitni chaukhat pe sada di hai

har mandir,maszid aur guru dhware me sazda di hai

kashto ko sahe ke jab duniya me tujko vo lai

tu roya maa roi tere hans ne se vo muskai

rato ko khud jag jag ke tujhe sulaya hai

khud bhukhi pyaasi rahekar bhi tujko khilaya hai

aaisi mamta mahima ke mann ko thes lagao na

mamta mahima ka jeevan me dil kabhi dukhao na

ek ek pagrath par chalna maa ne tujko sikhlaya

har sardi garmi me apne aanchal ki di chhaya

tere lab pe pahela shabda maa ka naam yahi aaya

sunke tere mukh se maa ka mann tha harshaya

paheli gur sabke jeevan me hoti hai mata

maa ke charno me to jukta hai jag ka data

pila pila ke dudh vo apna bada kiya tujko

sansar ka har sukh pane ko phir khada kiya tujko

maa ka rin na utrega is rin ko bhulao na

mamta mahima ka jeevan me dil kabhi dukhao na

maa jaisi pawan mamta na duji sansar me

sab kuch nyochhavar kar deti bachho ke pyaar me

is ek shabda me chhupi hai sari duniya ki daulat

maa hi mandir maa hi puja aur maa hi hai jannat

iske charno ki seva se jeevan dhanya karlo

iski mamta ki daulat se daman apna bhar lo

bhagwan se bhi uncha darja mata ka hota hai

jo thukraye mamta inki durbhagi hota hai

thukrake maa ko jeevan apna narka banao na

mamta mahima ka jeevan me dil kabhi dukhao na

tumne na kiya yaad kabhi bhulkar humein,

hum ne to teri yaad mein sub kuch bhula diya,

mitne lagi hai dil se tere ab to parchaiya humari,

par ho saka na dur tu humse,humne khud ko mita diya..........

Range zindagi koi bemaza nahi hota,

Jab talak tum na chaho hadsa nahi hota !

Ek ek mauj uski nakhudayee karti hai,

Jis safine ka koi nakhuda nahi hota !

Kah do tangjarfon se meri zindagani me,

Aise waise logon ka dakhila nahi hota !

Apani rahgujaron me jab talak na oh aaye,

Thahre thahre pani me bulbula nahi hota !

Ek ek sans apni chahe nazar kar dijiye,

"Maa" ke doodh ka fir bhi haqa Ada nahi hota !

Ban kar ek diya tumhare aashiyaane me roshni sajane aaya hoon,

Ek aadad faila hua voh andhera ab mitane aaya hoon.

Kyun odh rakhi hai gam ki chaddar tumne E dost,

Main aaj tumhe zindgi jeena sikhlane aaya hoon.

Kyun dekha nahi karte ho voh nazuk se sapne ab,

Main tumhe phir wahi pyare sapne dikhane aaya hoon.

Kya hua jo koi khata kar baith, ya koi khafa hai tumse,

Aaj dilon se sabhi ke main gille sikwe mitane aaya hoon.

Na dharm hai na jaat meri koi, main to roshan karta hoon zindgiyan,

Mita kar sabhi dooriyan aaj har sakhas ko apnane aaya hoon.

Bachpan me maa ki voh god yaad hai na tumhe,

Aaj main bhi usi tarah apni aagosh me tumhe sulane aaya hoon.

Tumhi me to rehta hoon kahin khoya hua sa main,

Aaj dukh dard sabhi tumse main churane aaya hoon.

Aaj aaya hu to rone na doonga ab kabhi tumhe,

Sang tumhare har pal main muskurane aaya hoon.

Voh diya nahi jo bhujh jaaega tufaano me tadap kar yuhi,

Main tumhari zindgi har pal roshan karne ki kasam nibhane aaya hoon...

Shayar voh nahi jo kalam utha liya karte hai,

Shayar voh bhi nahi jo tareefo pe jiya karte hai.

Shayar toh voh sakhas hote hai,

Jo dard ko bhi tadpa diya karte hai.

Jo kabhi tumhara dil pooche ki,

Aakhir ye shayar kaun hota hai.

Toh hume poochna hum bataenge,

Ki kyun ye kalam ka dil rota hai.

kash khuda ne mujhe kitaab banaya hota

aur use padhne ke liye sirf aapko hi banaya hota

aap padhte padhte so jate aur

hame apne sine se lagaya hota